Thursday 23 June 2011

Raat Abhi Baaki Hai 

Dosto Dastaan koi sunao ke Raat Abhi Baaki Hai
Sitaro tum bhi jhilmilaao ke Raat Abhi Baaki Hai

Zulfain bikhare khamosh kyun bethe ho pehlo main
Kuch mere suno kuch apni sunao ke Raat Abhi Baaki Hai

Din bhar ke riaazato ne thaka dia ho ga tum ko
Mere bazuon me chaale aao ke Raat Abhi Baaki Hai

Tum apni zulfon se mere sar par banao ghane sia badal
Phir in badlaon se abar barsao ke Raat Abhi Baaki Hai

Mere baalon main unglian phairr kar sulaa do mujko
phir apni khusbo se mehako ke Raat Abhi Baaki Hai

Aaj mere jee karta hia nashe me doob jane ko
saaqia jaam aur laao ke Raat Abhi Baaki Hai

main bano aag ka sehra tum sumnadar ho jao
phir aa ke mere pyas bhujao ke Raat Abhi Baaki Hai

yun shab bhar kisi ke intizar me jagna thek nai waqas
mere mano tum be so jaao ke Raat Abhi Baaki Hai




4 comments: